Wednesday, April 30, 2014

घर के चिराग होते हैं बेटे, रौशनी होती हैं बेटियाँ.!
घर के फूल होते हैं बेटे, खुश्बू होती हैं बेटियाँ..!!
Ghar ke chirag hote hain bete, roshni hoti hain betiyan..
Ghar ke phool hote hain bete, khushboo hoti hain betiyan..

माँ-बाप के गौरव होते हैं बेटे, गरिमा होती हैं बेटियाँ.!
बुढ़ापे का ऐतबार होते हैं बेटे, आस्था होती हैं बेटियाँ..!!
Maa-Baap ke gaurav hote hain bete, garima hoti hain betiyan..
Budhape ka aitbaar hote hain bete, aastha hoti hain betiyan..

दही में शक्कर होते हैं बेटे, छाछ में नमक होती हैं बेटियाँ.!
वंश आगे बढ़ाते हैं बेटे, संतान देती हैं बेटियाँ..!!
Dahi mein shakkar hote hain bete, chhachh mein namak hoti hain betiyan..
Vansh aage badhate hain bete, santaan deti hain betiyan..

साहसी होते हैं बेटे, खुबसूरत होती हैं बेटियाँ.!
अगर राम होते हैं बेटे, तो सीता होती हैं बेटियां..!!©RRKS.!!
Sahasi hote hain bete, khubsurat hoti hain betiyan..
Agar Ram hote hain bete, to Sita hoti hain betiyan..©RRKS.

Tuesday, April 29, 2014

Hansi labon pe aaj bhi hai par khushi ab koi nahi,
Bheed mein hum aaj bhi hain par saath ab koi nahi..
Thoda pyar thodi nazakat wo julfon ka udna tere aane ki aahat,
Kahne ko to bahut aaj bhi hai par baat ab koi nahi....
Mohabbat ka to yahi hai dastoor,
Aankhein hoti hai nam, Dil hota hai majboor..
Tadap, Badhawaasi, milti hai Judai..
Chot hai ye gahra par samajh kisi ko na aayi..
Na mera na tera kisi ka na hai ye kasoor,
Har ek k hisse mein aati hai ye, chahe khushmijaj ho ya ho magroor....
Andaz-e-mohabbat koi seekh na saka,
Koshish lakh kar li par shabdo mein ise koi likh na saka..
Hariyali aa jaati is bahaar bhi shayad,
Gahrayi to thi bahut par saath koi bheeg na saka....
Samajh sabhi ko hai lekin karte hain Dil se faisla,
Dil mein hai mohabbat bhara bhale kitna bhi ho faasla..
Phool kai ho, to khub lagta hai Gulistan..
Bant sa jarur gaya hai aaj, lekin ek hoga mera Hindustan....
Muddat ho gayi thik se soya nahi,
Gham ho ya ho khushi kisi k aage roya nahi..
Chahat hai adhuri karna hai sab haasil,
Sapne tute, saath kai chhute par jeetne ka hausla khoya nahi....
Kuch khushiyan paane k liye khushiyon se dur huye,
Raah mein mile musafir ko hi manzil samajh liye..
Dastan-e-Dard kisko sunaye ab,
Akele to aaj bhi nahi par tanha hum rah gaye....
Aye dil tu udas kyun hota hai,
Is kadar badhawaas kyun hota hai..
Is duniya mein dard hai to khusiyan bhi dheron hai,
Tu kisi ek ka hi khaas kyun hota hai....
Dard-e-Dil batana ho ya chhupana, bada mushkil sa lagta hai..
Mohabbat to kar lete hain sabhi bas isse nibhana, bada mushkil sa lagta hai....
Koi puchche to mujhse pyar ki paribhasha, hum ek kitab tak likh denge..
Jo isse ho ek shabd mein samjhana, ye bada mushkil sa lagta hai....
Rahi hogi kuch tumhari bhi majboori,
To hi tumne ye kadam uthaye honge..
Chahe lakh sitam dhao tum mujhpe,
Fir bhi dil se hum tumhe duaye hi denge..
Gar pyar tha kabhi to pyar hamesha hi rahe,
To kya hua jo hum tumhare, tum hamare na huye....
Usko manate rahe samajhkar ki wo humse rootha tha,
Khabar to mujhe thi sab par Dil mera hi jhootha tha..
Samandar k paani se nikle the pyas apni bujhane,
Tadap k mar gayi khawisein jo samajhte the ki wo pyar sirf mera tha....
Dur hoke mujhse wo bhi bahut tadpa hoga,
Saath paane ko mera wo bhi zamane se lada hoga..
Yaad aati hogi aaj bhi usko meri shayad,
Mohabbat ki seekh meri thi par aaj Khush wo kisi aur k saath hoga....
Logo ne mujhe kai naam se hai pukara,
Koi kaha pagal, kisi ne shayar, to koi awara..
Tut k hum bhi bikhar jate iss tufan mein shayad,
Gar na mila hota gham mein dubte ko mohabbat ka sahara....
Khush raho to khushi dhundhni nahi padegi,
Gam kya kismat bhi kuch na kar sakegi..
Apne manzil pe bas dhyan rakhna,
Dekhna ek din khud ye duniya tumhare kadam chumegi....
Kuch baatein adhure achche hote hain,
Bachpan ke kuch maang adhure achche hote hain..
Badi-Badi khwaishein puri karne ko chhote-chhote khushiyan hum chhod dete hain,
Muskurahat se kilkariyan jyada sachche hote hain..

Sach hai dur huye apno se tarakki ke khatir,
Par Jhooth bhi kabhi sach se jyada bhale hote hain..
Bade hone ki chahat mein ladakpan apni kho dete hain,
Daulat-Shohrat paane ko hum apno se dur hote hain..

Apno se jyada nibhate hain begano ka saath kabhi,
Ehasaas tab hota hai begane jab apno ke liye begane hote hain..
Zindagi ke thapero se guru ke tamache achche hote hain,
Mohabbat mil jati hai duniya se pyar Maa-Baap ke hi sachche hote hain..

Jawani ke kuch khwaishein adhure achche hote hain,
Kuch baatein adhure achche hote hain..RRKS.

Monday, April 28, 2014

Taare koti aasman mein hain par chandni chand se hoti hai,
Naam kai jahan mein hain par pahchan kaam se hoti hai..
Tarakki ke sapne dene walo yahan jarurat bhi puri nahi hoti hai,
Surakshit ho mahaul wahan jahan ek bhi beti hoti hai....

Shiksha mile har bachche ko jane kyun yahan truti hoti hai,
Rozgaar ka mauka mile gar shiksha puri hoti hai..
Taraashna padta hai heera tab usme chamak hoti hai,
Taare koti aasman mein hain par chandni chand se hoti hai..RRKS.
Kuch pal ke liye mere wo pal lauta do,
Kab kaha maine ki mere liye apni khushiyan loota do..
Tanhai jab hoti hai kuch baatein yaad aati hain,
Un yaadon ki kasam mujhe meri yaadein lauta do..

Raatein ho gayi lambi sukoon saath hai nahi,
Sunhare khwab ke liye hi sahi meri neend mujhe lauta do..
Tanha hai safar bahut dur tak hai jaana,
Raah ho jayegi aasan wo saath mujhe lauta do..

Dil ko mil jaye chain wo karar mujhe lauta do,
Kuch pal ke liye mere wo pal lauta do..RRKS.

Sunday, April 27, 2014

Mohabbat to ek afsana hota hai,
Khushi ka fasana to Gam ka aashiyana hota hai..
Dil mein chhupa ho ye par aankhein kar dete hain bayaan,
Dard kab aansuon se begana hota hai....