Monday, April 28, 2014

Kuch pal ke liye mere wo pal lauta do,
Kab kaha maine ki mere liye apni khushiyan loota do..
Tanhai jab hoti hai kuch baatein yaad aati hain,
Un yaadon ki kasam mujhe meri yaadein lauta do..

Raatein ho gayi lambi sukoon saath hai nahi,
Sunhare khwab ke liye hi sahi meri neend mujhe lauta do..
Tanha hai safar bahut dur tak hai jaana,
Raah ho jayegi aasan wo saath mujhe lauta do..

Dil ko mil jaye chain wo karar mujhe lauta do,
Kuch pal ke liye mere wo pal lauta do..RRKS.

1 comment:

  1. Wo pal kabhi laut nahin sakte par un yadon ke sahare jiye ja jiye ja. Rahi tun chale ja chale ja

    ReplyDelete