Sunday, June 26, 2016

नफ़रत की आँधी फैल रही,
खत्म हो रहा है प्यार.।
चंद लोगों की वजह से,
बँट रहा है संसार..॥
Nafrat ki aandhi fail rahi,
Khatm ho raha hai pyar..
Chand logo ki wajah se,
Bant raha hai sansar..

कुछ अभिमान की खातीर तो,
कुछ गुस्से का हैं शिकार.।
कारण कुछ भी हो मगर,
बढ़ रहा है अत्याचार..॥
Kuch abhimaan ki khatir to,
Kuch gusse ka hain shikaar..
Kaaran kuch bhi ho magar,
Badh raha hai atyachaar..

संगठन बनाकर बाँट रहें,
बाँट रहें सबके विचार.।
जाति धर्म के नाम पे फिर,
अपनों पे कर रहें हैं वार..॥
Sangathan banakar baant rahein,
Baant rahein sabke vichaar..
Jaati dharm ke naam pe phir,
Apno pe kar rahein hain vaar..

कुछ आज़ादी के नाम पर,
नारे खूब लगा रहें.।
परंपरा और संस्कार की वो,
धज्जियाँ खुद उड़ा रहें..॥
Kuch azadi ke naam par,
Naare khub laga rahein..
Parampara aur sanskar ki wo,
Dhajjiyan khud uda rahein..

असहिष्णुता के नाम पर,
ठहाके सब लगा रहें.।
मुद्दा बना जब मुद्दों का,
वो तब मुद्दा ही भटका रहें..॥
Asahishnuta ke naam par,
Thahake sab laga rahein..
Mudda bana jab muddon ka,
Wo tab mudda hi bhatka rahein..

कहीं भक्तों की तो कहीं,
भटकों की टोली हैं.।
कभी निच कर्म हैं उनके,
कभी शर्मिंदा करतीं बोली हैं..॥
Kahin bhakto ki to kahin,
Bhatko ki toli hain..
Kabhi nich karm hain unke,
Kabhi sharminda karti boli hain..

जिनकों खुद नहीं शिष्टाचार,
वो सीखा रहें आचार.।
अहंकार ही है उनका,
जिसका जल्द करना होगा उपचार..॥©RRKS!!
Jinko khud nahi shishtachar,
Wo seekha rahein aachar..
Ahankaar hi hai unka,
Jiska jald karna hoga upchaar..©RRKS.

No comments:

Post a Comment