शब्दों की जरूरत नहीं,
भाव बयाँ कर देते हों जब.।
अभिव्यक्ति की कमी होगी तो,
शब्द भी कम पड़ेंगे तब..॥
Shabdon ki jarurat nahi,
Bhav bayan kar dete hon jab..
Abhivyakti ki kami hogi to,
Shabd bhi kam padenge tab..
इशारों की भाषा भी होती है,
इस बात को भी समझ लो जरा.।
मनोदशा पता चल जाता है,
बस देखते ही चेहरा..॥
Isharon ki bhasha bhi hoti hai,
Is baat ko bhi samajh lo jara..
Manodasha pata chal jata hai,
Bas dekhte hi chehra..
कभी पलकें बातें करते हैं,
कभी नज़रें सब कुछ कहते हैं.।
लफ़्जों के बिना लब कई बार,
बहुत कुछ व्यक्त कर देते हैं..॥
Kabhi palkein baatein karte hain,
Kabhi nazrein sab kuch kahte hain..
Lafzon ke bina lab kai baar,
Bahut kuch vyakt kar dete hain..
बिन इशारें मौन रहकर भी,
बातों का पता चल जाता है.।
धड़कनें और साँसों की गति,
जब घट या बड़ जाता है..॥
Bin isharein maun rahkar bhi,
Baaton ka pata chal jaata hai..
Dhadkanein aur saanson ki gati,
Jab ghat ya badh jaata hai..
हाथों का फैलना और जुड़ना,
पैरों की उंगलियों का सिकुड़ना.।
ये अदायें अल्फाज़ बन जाते हैं,
भले देखने को हो मुड़ना..॥
Haathon ka failna aur judna,
Pairon ki ungliyon ka sikudna..
Ye adaayein alfaz ban jaate hain,
Bhale dekhne ko ho mudna..
उक्ति की जब भी हो कमी,
इशारों में तब कह देना.।
समझ तब भी न आये तो,
कोरे कागज में लिख देना..॥©RRKS!!
Ukti ki jab bhi ho kami,
Isharon mein tab kah dena..
Samajh tab bhi na aaye to,
Kore kagaz mein likh dena..©RRKS.
भाव बयाँ कर देते हों जब.।
अभिव्यक्ति की कमी होगी तो,
शब्द भी कम पड़ेंगे तब..॥
Shabdon ki jarurat nahi,
Bhav bayan kar dete hon jab..
Abhivyakti ki kami hogi to,
Shabd bhi kam padenge tab..
इशारों की भाषा भी होती है,
इस बात को भी समझ लो जरा.।
मनोदशा पता चल जाता है,
बस देखते ही चेहरा..॥
Isharon ki bhasha bhi hoti hai,
Is baat ko bhi samajh lo jara..
Manodasha pata chal jata hai,
Bas dekhte hi chehra..
कभी पलकें बातें करते हैं,
कभी नज़रें सब कुछ कहते हैं.।
लफ़्जों के बिना लब कई बार,
बहुत कुछ व्यक्त कर देते हैं..॥
Kabhi palkein baatein karte hain,
Kabhi nazrein sab kuch kahte hain..
Lafzon ke bina lab kai baar,
Bahut kuch vyakt kar dete hain..
बिन इशारें मौन रहकर भी,
बातों का पता चल जाता है.।
धड़कनें और साँसों की गति,
जब घट या बड़ जाता है..॥
Bin isharein maun rahkar bhi,
Baaton ka pata chal jaata hai..
Dhadkanein aur saanson ki gati,
Jab ghat ya badh jaata hai..
हाथों का फैलना और जुड़ना,
पैरों की उंगलियों का सिकुड़ना.।
ये अदायें अल्फाज़ बन जाते हैं,
भले देखने को हो मुड़ना..॥
Haathon ka failna aur judna,
Pairon ki ungliyon ka sikudna..
Ye adaayein alfaz ban jaate hain,
Bhale dekhne ko ho mudna..
उक्ति की जब भी हो कमी,
इशारों में तब कह देना.।
समझ तब भी न आये तो,
कोरे कागज में लिख देना..॥©RRKS!!
Ukti ki jab bhi ho kami,
Isharon mein tab kah dena..
Samajh tab bhi na aaye to,
Kore kagaz mein likh dena..©RRKS.
No comments:
Post a Comment