Saturday, May 3, 2014

विद्वानों को अनपढ़ से सीख लेते देखा है,
धनवानों को फकीर से भीख लेते देखा है.!
पल भर में बदल जाता है फितरत,
स्वार्थ के लिये अपनों को बेगाना होते देखा है..!!
Vidwano ko anpadh se seekh lete dekha hai,
Dhanwano ko fakir se bheekh lete dekha hai..
Pal bhar mein badal jata hai fitrat,
Swarth ke liye apno ko begana hote dekha hai..

आस्था के नाम पे धर्म को बिकते देखा है,
मोक्ष के लिये दान रूपी रिश्वत देते देखा है.!
कभी जल, कभी ज़मीन, कभी राम, कभी रहीम,
झूठे शान के खातिर भाई को भाई से लड़ते देखा है..!!
Astha ke naam pe dharm ko bikte dekha hai,
Moksha ke liye daan rupi rishwat dete dekha hai..
Kabhi jal kabhi zameen kabhi Ram kabhi Rahim,
Jhoothe shaan ke khatir bhai ko bhai se ladte dekha hai..

मीठे पानी को खारा होते देखा है,
हुस्न और जवानी को ढलते देखा है.!
रहता नहीं गुमान किसी का,
चाँद सूरज को भी ग्रहण लगते देखा है..!!
Meethe paani ko khaara hote dekha hai,
Husn aur jawani ko dhalte dekha hai..
Rahta nahi gumaan kisi ka,
Chand suraj ko bhi grahan lagte dekha hai..

भूखे को भर पेट खिलाते देखा है,
बेघर को महल बनाते देखा है.!
खुशहाल एकजुट होगी ये दुनिया एक दिन,
ख्वाब मैनें बस यही एक देखा है..!!©RRKS.!!
Bhukhe ko bhar pet khilate dekha hai,
Beghar ko mahal banate dekha hai..
Khushahal ekjut hogi ye duniya ek din,
Khwab maine bas yahi ek dekha hai..©RRKS.

No comments:

Post a Comment