Friday, June 13, 2014

याद आते हैं वो बचपन के दिन,
खाना खेलना और पढ़ना काम थे ये बस तीन.!
Yaad aate hain wo bachpan ke din,
Khana khelna aur padhna kaam the ye bas teen..

अच्छे अंक पाने की होती थी होड़,
कभी रहते थे पीछे कभी देते थे पीछे छोड़.!
Achche ank paane ki hoti thi hod,
Kabhi rahte the peechhe kabhi dete the peechhe chhod..

बड़े होने की थी तब जल्दी,
भले जमाना हो बेदर्दी.!
Bade hone ki thi tab jaldi,
Bhale jamana ho bedardi..

अपने दिनचर्या में थे व्यस्त,
फिर भी रहते थे मदमस्त.!
Apne dincharya mein the vyast,
Phir bhi rahte the madmast..

शाम हो या हो भोर,
खेलने पे सदा रहता था जोर.!
Shaam ho ya ho bhor,
Khelne pe sada rahta tha jor..

कपड़े रोज़ गंदे थे होते,
फिर भी मौज़ करते थे रहते.!
Kapde roz gande the hote,
Phir bhi mauj karte the rahte..

खयालों की एक दुनिया थी होती,
किताबों के बीच कॉमिक्स भी थी रहती.!
Khayalon ki ek duniya hoti thi,
Kitabon ke beech comics bhi rahti thi..

कार्टून भी थे दोस्त हमारे,
संग्रह रखते थे बहुत सारे.!
Cartoon bhi the dost hamare,
Sangrah rakhte the bahut saare..

सब्जी की होती थी दरकार,
फल मिठाई से था प्यार.!
Sabji ki hoti thi darkaar,
Phal mithai se tha pyar..

दूध मलाई खाते थे,
सबसे पंजा लड़ाते थे.!
Doodh malai khate the,
Sabse panja ladate the..

स्कूल के वो सुनहरे दिन याद आते हैं,
पाने को फिर से तरस जाते हैं.!
School ke wo din aate hain,
Paane ko phir se taras jaate hain..

धुंधली सी तस्वीर हुई,
यादें पर गंभीर हुई.!
Dhundhli si tasveer hui,
Yaadein par gambhir hui..

जाने और क्या क्या है छूटा,
जीने का सबक पर है सीखा.!
Jaane aur kya kya hai chhuta,
Jeene ka sabak par hai seekha..

याद आते हैं वो बचपन के दिन,
खाना खेलना और पढ़ना काम थे ये बस तीन..!!RRKS.
Yaad aate hain wo bachpan ke din,
Khana khelna aur padhna kaam the ye bas teen..RRKS.

4 comments:

  1. Beautiful Rakesh. I love your Poems. Rakesh, Why don't you join similar group of Kavi/Poets on Bloggers. Let me know if you need any help.There are plenty of Good Poets. Interact with like minded people, this will help you in developing your skills to the next level. All the Best my Friend!

    ReplyDelete
    Replies
    1. Thanks Narendra. Your admiration also helps me in writing & means a lot for me. I'll definitely follow this advice of your's. You can suggest any community if you know..

      Delete
  2. keeP IT UPPPP ,,,,UPPPP AND UPPPP

    ReplyDelete